Title: Sirf "La Hawla" padhne ka hukum
QNA-2026-R18928
Mufti Abu Al-Nu'man Ata Muhammad Mushahidi
Assalam-o-Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh
Ulama-e-Deen is mas’ala ke talluq se islaah farmayein ke Zaid ka kehna hai ke sirf (la hawla wa la quwwata) padhne se kufr hoga, lekin Bakr ka kehna hai ke kufr nahi hoga.
Al jawab bi aunil malik-il-wahhab
Bismillahir rahmanir rahim
Surat-e-Mas’oola mein Zaid ka kehna galat hai aur Bakr ka kehna sahi hai ke kufr nahi hoga.
Indal hajat (hajat ke waqt) sirf (la hawla walaa quwwata) ya (la hawla) par iqtisar qabih hai, kufr se koi ilaqa nahi, ke apne hawl-o-quwwat ki nafi ke liye hai, alaa haaza (isi tarah) sirf (la hawla) kehna haraj nahi rakhta.
(Fatawa Ridwiyya, Jild Shasham, S. 116, Raza Academy, Mumbai)
Wa allahu a,alamu bis-sawab
(Hawala: Fatawa Mushahidi, Jild 1, S. 132)
Navigate
Organization